AMAN
PEHLA BAAB
Tatarsik gaon kr aen nukkad py MAELY KHUOF ka khet tha,muoweshi khane ka darwaza shumal mein daan ki tarf khulta tha, sabza se dhake howe sapaid kinaron ke darmyan DAAN behh raha tha, hawa ki lehron ke nichy DAAN ki nilgun sataha Jhil mill Jhil mill karti hoi mtanat bhare howe thi, mashriq mein bans ki khchopion se banai hoi baardh ke parre shahra, E,aam thi - ek jhadi thi, ghodon ki taapon serundha howa sookha ghaas tha ,saddak jahan dosrri saddak se jaa milti thi waha ek maqbra tha, aur is ke bad retla maidan tha, harr lakht door hota howa serab -jonob mein sapaid aua jagmgati hoe pahhadion ka silsla tha- maghrib mein ek galli thi jo chorahy py ko p aar karti hoi makano ke hujom mein gum ho jati thi,.....
Kaslik prra kufi mele khuof pichli Jang ke Duran mein apne gaon mein ek turkiy aurat ke sath wapis aya tha, ye us ki bivi thi, ek nanhi si aurat jo saar se paon tak shaal mein lipti hoi thi, wo apne chehre ko chupae howe thi aur apni mutjases ankhon ko be hijab nahi hone deti thi, quse qaza ki tarha rangeen shaal.khusboon seatta howa kisan aurton ki raqabt ko mushtall kar raha tha, turky se pakad ke lai hoi aurat prra kuofi ke rishta daaron se meal jool istwar na kar saki, us ki un se nibh na saki. MAELY KHUOFI ke bodhe baap ne use us ka hissa dy kar elehda kar diya, bodha baap mufarqat ke daagh ko dhoo na saka, us ne apne bete ki jhonpdi min marte dam tak qadam na rakha,...
0 Comments