AMAN

                                                                         PEHLA BAAB

2nd PEAIRA GRRRAF!

Parra kuofi naqal makani ki tayarion mien jald masroof  ho gya, barrdai ne us ki jhonpdi taameer ki,
muashi khane mien us ne apni hadd bandi bi kar li, aaghaze khazaa hi mien wo apni saarnagon magar bidesi bivi ko le kar apne naye ghar mien muntqil ho gaya, 
Dunyawi saazo saman se laady howe chakde ke pichy wo apni bivi ke hamra chall kar gaon mien se  guzra, gaon ka har chota bada faard gali mien behre nazara jaama ho gaya,
Kasak kisan apni ghanni dhahdion ko hilate howe hanste rahy ,
aurten buland awaz mein izhae khyal karti rahin, kaaskon ke bchon ka geroh prrakuofi par awazen
qassta raha , magar bade kot ke buton khole, apni bivi ki naram kalai pakde parakuofi ahista khrram tha,
jese wo taaza hull chlaai hoi zameen par tehal raha ho,
Us ka saar buland tha ,magar us ke gaon ki hadion ke nichy goosht phdphdda raha tha,ghane aabroan mein paseene ke qatre jhilmila rahy thy,